Thursday, March 29, 2007

Tu Aag hai.. Mein hoon Dhuuaa!!!

Fire and Smoke



Pyaar ki kya hai intehaa..
Mujhey kya khabar, Mujhey kya pata….
Dhadak rahi merey dil mey aaj,
Ek teri kami, Ek teri Sadaa….

 



Gum-e-Duniya sey hum bhaag kar,
Aa Bethey terey pehlu mey hum,
Dil maangey ab bus yeh dua,
Ki chhodh dey yeh Jism-o-Jaa….

 



Ek aawaz sii peecha karti hai,
Ek kami sii dil mey khalti hai,
Bolo Kaisey tum ko bhoolun mein,
Tu Aag hai, Mein hu Dhuuaa….

 



Gum naa karna kabhi mera tum,
Muskurana yun hi hardam tum…
Lo Hum jaa rahey hai chod kar,
Teri mehfiley, Teri yeh duniyaa….

 



Di khalish tumney, kiya gumjada,
Karo aur sitam ek mujhpar tum…..
Mein bhi jee loongi terey bagair,
Tu bhi Mujhey Bhool Jaa….Mujhey Bhool Jaa….

Puraana Intezaar!!!

Again



Aaj ki raat, kal ki raat sey kuch juda to nahin,
main bhi wohi hoon, meri soch wohi, wohi shayari meri,
aur yeh kalam bhi wohi....
phir kyon naa kal yeh khayal aaya ki,
ghazal tere tasavuur bina kuch bhi nahin,
dard nahin jo ismey to yeh dava bhi nahin.
Tanhai hai ismey, mehfil ki shanaasaai nahin,
saaj hai ismey magar goonj-e-sehnaai nahin.....
Merey chandaa, teri chaandni key paas
kuch lafaj hai tute hue,
jo jud gaye yeh to samjho haal-e-dil bayan hua...
Kismat main meri wohi Intezaar purana likha shayad,
jo mil jao tum to samjhein gey kuch naya hua......

Aur Tumhara Intezaar!!!

heart



Dil mera Soona Soona...
Soona lagey mujhey apna pyaar...
Aankhon mey bhi ek soonapan,
Aur tumhara Intezaar....

 



Adhletey hum likhtey hai,
Dil ki baatein kagaz par,
Likhtey hai Tera Naam aur
Likh kar mita detey har Baar....

 



Dekh naa paaye mere aansoo,
Dekha naa mera deewanapan,
Samjha naa kabhi mujhko tumney,
To Samjhogey kya mera pyaar....

Tere Intezaar Mey!!!

 


Evening



Teri ulfat ka yakeen tha,
Tere aaney kii umeed thi…
Tere intezaar mey katii phir ek shaam zindagi kii….

 



Muhabbat mey teri hum ko,
Bhoola yeh jahan saara…
Khud dil ki dhadkan apnii humko lagti hai ajnabii sii….

 



Sare-raah girtey hai chaltey chaltey hum,
Rehtey hai gum aksar khayalon mey yu tere…
Lagta hai aisa jaisey humpar chaii ho bekhudii sii….

 



Aawaz teri humko deti hai sukoon hardum,
Chehra tera rehta hai meri aankhon mey sanam….
Tere dard-e-judaai mey bhi milti hai ek khushii sii…

 



Bolo, Khwabon mey mere aatey ho kyon bhala
Aatey ho to chodh kar jaatey ho kyon bhala…
Aadat bus yehi teri humko lagti hai burii burii sii…

 



-------------------------------------------------------------------------------
Sapney sabhii toot gaye,
Tujhsey judaa ho kar ke….
Chand nishaan bache hai meri zindagi ke abhii bhi….

Wednesday, March 28, 2007

Usski Baatein!!!

silent world



Uski baatain sun kar mujh ko, waqt laga kuch thera saa,
lekin un meethi baaton main, pyar chuppa tha ghera saa....

 



main bhi hath tham leti uska, lekin sanson per hai phera saa,
jo bhi ho un meethi baaton main, pyar chuppa tha ghera saa...

 



raat mila woh sapno main, kuch paresha, kuch hairan saa,
keh key gaya wo aaisi baatain, jinmey pyar chuppa tha ghera saa...

 



phool khil gaye is jeevan main, pehley tha jo viraan saa...
aaisi meethi baatain thi woh, jinmey pyar chuppa tha ghera saa....

 


Bengali Devotional Poetry

Phir wohi Tanhai hai!!!

 


tanhaii



Yeh na socha tha ki phir tanha hongey hum,
par tere aaney key baad phir tanha ho gaya..........

 



Pyar ka jo humney gharonda sajaya tha,
sajatey hi lagta hai, jaisey bikhar gaya..
do lafj teri jubaa sey pyaar key,
suney hue lagta hai, jamana guzar gaya..

 



Puchha phool sey kyon murjha gaye ho tum,
bola dekho pyaar ka mausam badal gaya..
jisey dekh kar khilti thi aankhon ki kaliyan,
roz dhoondhti hai usey, ki kidhar gaya.....

Raat Ka Deepak!!!

diya



Raat key andhere main, jab koi sath na raha,
Dekhti rahi, us "deep" ko, jo mere sath jalta raha....
janey kab, kis tarah sey,
phir purani yadoon key kaley gherey mey,
janey kaisey, main ulajhti gayi soch key dayare mey!
Pehley milan, phir judaai, kya isi ka naam hai zindagi?
yeh dheerey dheerey dil ka rona..,
kya isi ko kehtey hai dardgi?
Ehsaas nahin kab tak main bus uhi,
zindagi ko aajmati rahi..
dur jaaney ki kosish main, unkey karib aati rahi!
hosh aaya tab humey jab, diwarey uthi is duniya ki,
pyar ki kasmey dagmaga gayi, jab kasmey lagi is duniya ki!
inhi khyalon main janey kitni neendey meri kho gayi..
aaya khyal jab mujhey to aankhey num ho gayi..
jis "deep" ko sathi maan, neend udaai thi naino ki..
woh "deep" mere sath jaagtey hue, janey kab ka so gaya tha.... :(