Wednesday, March 28, 2007

Raat Ka Deepak!!!

diya



Raat key andhere main, jab koi sath na raha,
Dekhti rahi, us "deep" ko, jo mere sath jalta raha....
janey kab, kis tarah sey,
phir purani yadoon key kaley gherey mey,
janey kaisey, main ulajhti gayi soch key dayare mey!
Pehley milan, phir judaai, kya isi ka naam hai zindagi?
yeh dheerey dheerey dil ka rona..,
kya isi ko kehtey hai dardgi?
Ehsaas nahin kab tak main bus uhi,
zindagi ko aajmati rahi..
dur jaaney ki kosish main, unkey karib aati rahi!
hosh aaya tab humey jab, diwarey uthi is duniya ki,
pyar ki kasmey dagmaga gayi, jab kasmey lagi is duniya ki!
inhi khyalon main janey kitni neendey meri kho gayi..
aaya khyal jab mujhey to aankhey num ho gayi..
jis "deep" ko sathi maan, neend udaai thi naino ki..
woh "deep" mere sath jaagtey hue, janey kab ka so gaya tha.... :(

6 comments:

  1. Kash ke aapke "Deep" ne bhi yeh kavita padhi ho ?

    ReplyDelete
  2. Thanks a lot Rakesh for your visit and comments.. :)

    Nice Understanding... ;)

    ReplyDelete
  3. Hey Shikha,

    Its very cool..Great job.

    ReplyDelete
  4. 'deep' soya nahi hai, woh to duniya ko roshni dene ke baad hamesha ke liye bhuj gaya hai... bas yahi hai 'deep' ki daastan!!

    ReplyDelete
  5. Pahle main daba tha ret ke ik dher mein
    Mujhko nikala mere naseeb ke kumhar ne
    le gaya apne pairon tale raunda mujhe
    taqdeer ke chakke par khoob ghumaya mujhe
    zindagi ki takleefon ke aag mein khoob jhulsaya mujhe
    phir daal kar kandhe apne, becha mujhe bazaar mein
    tab hue mahboob mere tum jab ghar apne laya mujhe
    kya fark us kumhar mein aur tum mein
    tumne bhi to shikwa ka tel dal kar jalaya mujhe
    main yun hi jalta raha ban kar saathi tumhare dard ka
    dekha tumne roshni meri, tapan meri dekhi nahin
    tumko bahlane ke liye, main chup chaap jalta raha
    anjaam hai har agaaz ka, aur ek din aisa hua
    tum yahin roti rahi, aur mera safar poora hua

    ReplyDelete
  6. Raat key andhere main, jab koi sath na raha,
    Dekhti rahi, us “deep” ko, jo mere sath jalta raha….
    janey kab, kis tarah sey,
    phir purani yadoon key kaley gherey mey,
    janey kaisey, main ulajhti gayi soch key dayare mey!
    Pehley milan, phir judaai, kya isi ka naam hai zindagi?
    yeh dheerey dheerey dil ka rona..,
    kya isi ko kehtey hai dardgi?
    Ehsaas nahin kab tak main bus uhi,
    zindagi ko aajmati rahi..
    dur jaaney ki kosish main, unkey karib aati rahi!
    hosh aaya tab humey jab, diwarey uthi is duniya ki,
    pyar ki kasmey dagmaga gayi, jab kasmey lagi is duniya ki!
    inhi khyalon main janey kitni neendey meri kho gayi..
    aaya khyal jab mujhey to aankhey num ho gayi..
    jis “deep” ko sathi maan, neend udaai thi naino ki..
    woh “deep” mere sath jaagtey hue, janey kab ka so gaya tha….

    ReplyDelete