Wednesday, March 28, 2007

Phir wohi Tanhai hai!!!

 


tanhaii



Yeh na socha tha ki phir tanha hongey hum,
par tere aaney key baad phir tanha ho gaya..........

 



Pyar ka jo humney gharonda sajaya tha,
sajatey hi lagta hai, jaisey bikhar gaya..
do lafj teri jubaa sey pyaar key,
suney hue lagta hai, jamana guzar gaya..

 



Puchha phool sey kyon murjha gaye ho tum,
bola dekho pyaar ka mausam badal gaya..
jisey dekh kar khilti thi aankhon ki kaliyan,
roz dhoondhti hai usey, ki kidhar gaya.....

9 comments:

  1. Benoor, Berang, Adhoori si,
    Yeh kaisi khwaish hai…
    Dil mey chayyii bekaraari si,
    Yeh kaisi khwaish hai…

    Khamosh, Gumsum, Udaas si,
    Yeh kaisi shaam aayi hai…
    Badle hue khayaalat hai magar,
    Phir wohi tanhaai hai…

    Aawaara, banjaara, anjaana sa,
    Yeh safar bhi saudaii hai,
    Dil dein hum ya Jaan de dein,
    Har haal mey ruswaaii hai…

    ReplyDelete
  2. Ya di ... bahut accha likha hai aap ne :D

    ReplyDelete
  3. Shukriya Maddhu.. 8)

    ReplyDelete
  4. haan bahut acha likha hai

    ReplyDelete
  5. kyun eaisi umeed ki maine jo aise na kaam hoyi. door banyi thi manzil to raste main hi shaam hoyi

    ReplyDelete
  6. It is really very nice,

    ReplyDelete