Thursday, March 29, 2007

Puraana Intezaar!!!

Again



Aaj ki raat, kal ki raat sey kuch juda to nahin,
main bhi wohi hoon, meri soch wohi, wohi shayari meri,
aur yeh kalam bhi wohi....
phir kyon naa kal yeh khayal aaya ki,
ghazal tere tasavuur bina kuch bhi nahin,
dard nahin jo ismey to yeh dava bhi nahin.
Tanhai hai ismey, mehfil ki shanaasaai nahin,
saaj hai ismey magar goonj-e-sehnaai nahin.....
Merey chandaa, teri chaandni key paas
kuch lafaj hai tute hue,
jo jud gaye yeh to samjho haal-e-dil bayan hua...
Kismat main meri wohi Intezaar purana likha shayad,
jo mil jao tum to samjhein gey kuch naya hua......

5 comments:

  1. achchi nazm pesh ki hai aapne , bahut khoob !

    ReplyDelete
  2. Shukriya Manish... :) I am trying my best... :)

    ReplyDelete
  3. its amazing, i visited on this site just becoz of ur name, shikha name of girl(not u) whom i love from core of my heart, bu she is nt wid me. ur poem really touch my heart.

    ReplyDelete
  4. yado se yado ko bhula dena aankho se meri tasvir mita dena jab chale sard hava to meri saso ko apni saso main panah na dena

    ReplyDelete
  5. yad is kadar na aana ki khud ko mita, de hum pyar is kadar na badana ki rab ko bhula de hum, bus pyar is tarah nibhana ki sanso main basale hum.

    ReplyDelete