Humne mehboob ki aankhon par
Haathon ko apne rakh kar dekha…
Nafraat ke aangaaro ko jab unkii
Nazaron mey dehekta dekhaa….
Aur Unhii haathon ko dil par rakh kar,
Apnii Hasraton ko khud apnii Aankhon se Jaltaa dekhaa…
Chand ki tarah humne Pyar ko bhi marrtaa dekha…
Ek ajnabii si nazar deewar ko bhedtii hui,
Ek ukhdii hui saans jigar ko chedtii huii…
Khud ki talaash mey bhatak rahii hai ruhh,
Do pal ka bhii nahin jaise mere naseeb mey sukoon…
Ghar ke saajo-samaan ko khud par Humne haste dekha…
Apne Wajood ko bhi sajawat ka saamaan Bante dekha…
Harr rishte par ek maut khud ki paayii hai,
Bazaar mey jaise bolii khud apni lagayii hai…
Koii zeher jaise apne haathon pee liya humne,
Zehar pee ke bhee magar kaise jee liya humne…
Khulii aankhon sey kaisa khaufnaak yeh sapnaa dekha…
Kaii Zehreele naagon ko kadmon sey lipatt.tey dekha…
Ek hi manzar yeh har raat ka hota hai,
Chand bhi aakar meri chhatt pe rota hai…
Palkon mey namii hoti hai bikhrii bikhrii…
Dil phir bhi nayii umeed koi pirotaa hai…
Woh toh takkiye ko aangosh mey le lete hai,
Jaane kaise woh chain ki neend so lete hai…
Raat ki raani ko kabhii khidkii pe Mehekta dekha…
Humne raaton ko aankhon aankhon mey guzartaa dekhaa…